Raat bhar raat ko ik raat jagaya jay
is ko maloom to ho hum pe guzri kiya hai
kabi jo us ke kheyalo ki hado se niklo
to main ik aam si larki ke siwa kuch bi nahi
rootho agr muj se to ye zehan main rakhna
manana adet nahi hamari or juda hum reh nahi sakte
meri ankho main neend ban ke reh jao ab to
tumhare intezar main kitni rato se bewafai ki hai
ye dukh nahi k muj se nigahe badel gay
ghum ye hai jeena seekh gay wo mere bigher
Door rehne se muhabet barhti hai faraz
ye keh kr wo shakhs shehr chor gya
har aik sawal ka us ko jawab kiya det
main apni zaat ka us ko hisab kiya det
jo aik laft ki khushbu na rakh saka mehfooz
main us k hath main puri kitab kiya deti
mere bus main agr ye ho jana
main wafa tere nam kr jaou
muje yaad aa kr bechain na kro
ik yahi sitam kafi hai k sath nahi ho tum
beeti hoi zindagi ki kuch itni si kahani hai
kuch hum khud barbad huwe kuch un ki mehrbani hai
ab na dhoona muje zameen o asman ki gardish main
tere din main nahi hn to phir kahi b nahi
teri ulfat main kiya ruswa huwe
zamane bhar main shuhrat ho gai
lakh koshish ki magr nikal hi gay
Muhsan
ghar se yousaf
janat se adam
or
tere dil se hum
bohat hi toot ke tum yaad muj ko ay ho
agarche sardiyo ki pehli pehli barish hai
dekhta hn tasveer e yaar to ata hai rashk
har baat la jawab thi agr bewafa na hota
sirf is waste socha na kabi tere khilaf
main jo shochu ga tujhe wo sunai de ga
tuj ko nahi ehsas ke ay dil teri khatir
ik shakh bare kaam ka bekar huwa hai
shok se tark dosti kr le
main teri nafrto ka aadi hn
aik tum ko agr chura ln to
zamana ghareeb ho jay
suna tha moot maar det hai
tera hijar b kuch nahi nikla
Muhabbad khoob ki, kr k nabhai b boht lakin
na is ki ibta samje, na ik ki inteha samje
sulag rahi hai agarbatiya c muj main wasi
tumhari yaad ne mehka diya jala diya
teri yaaden b teri jaise hai
unhe ata hai bus rula dena
saaf bach nikle ga wo bala ka zehan
muhabbet chor de ga qismet ka bahana kr ke
us ki delheez pe sadiyo se pra hn
muj se milne ko jo lamhaat gina krta tha
aj saawan meri ankho main utr aya hai
aj lagta hai bari zor ki barish ho gi
zoor tark e wafa ka irada karte hai
bus dard e muhabbet ko ziyada krte hai
ja ja ke kahe or jashn mana apni amad ka ay december
mujhe tang na kr ke main abi udas hn
\
umer sari to bohat door ki bat hai muhsan
aik lamhe ke liye kaash wo mera hota
kambakht manta hi nahi dil use bhoolane ko
main haath jorta hn wo paoun parta hai
wo meri har main shamil tha
bin mange kisi ko mil gya
pucha na zindagi main kisi ne dil ko dukh
ab shehr bhar min zikr... meri khudkushi ka hai
marna to hai na
chahe rab mare ya tera hijr
ab itni mukhtasir ho gay hai
guftugu yaaroo
jo subah hoi to bus aik salam
jo raat hoi to shab kher
kayu na is se main saja ln ghame hasti mohsan
mere ishar main kuch aks e gham zaat to hai
yaad rakhna to meri fitrat hai
aadte tum hi badl lete ho
muj ko hai kaam or b kuch to kro kheyal mera
ate ho jb kheyal main jate nahi kheyal se
barso or b zid ki adat nahi badli us ki
kaash hum muhabbet ni! us ki adat hote
wo mera naam apne hatho ki lakeero main talash kr kr k thak gya
to dheere se sir jhukaya or muskra k kaha
lakeere jhoot bolti hai tum mere ho
agar ishq krna sawab hota yaqeen kro
na tum se hota na hum se hota
wah december aj tum ne yaqeen dela diya
bina barse guzar jana teri adat nahi
daad doon humat pe uski ya use pathar kahn
wo muhabbet main kabi meri thar roya na tha
har trah se minte duay hazar mangi
wo na tal ska jo qehr tu ne barpa kiya
tum mujhe moqa to do itbar bnane ka
thak jao ge chalte chalte mere wafa k wath
soch rahi hn ab bewafa hote ka tareeqa seekh ln
muhabbet de de kr hum ne ap ne qadar kho di
khule ge jald hi bewafi k kahi qise
loot aya hai phir se wo berahm december
mere hazar such k main tumhara hn
mera aik jhoot k tum mere ho
ab mere zikr pe wo baat badl deta hai
wo jo har baat pe deta tha hawale mere
wo hum se bichar kr kaise jeeta ho ga
bus yahi sochte sochte umer guzr gai apni
sirf hatho ko na dekho kabi ankhe b parho
kuch sawali bare khoodar huwa krte hai
khud ko badlne ki boht c kooshis main
ik tuje bhoolna na mumkin sa lagta hai
hona kiya hai
zindagi ko bugat rahe hai
zindagi ke bina
Meri wafa se bach kr jana mahal tha
meri wafa ko rond kr jana pra use
Ban jaoun agr tum sa tumhe kaisa lge ga
har pal main rahn tum se khafa kaise lge ga
parhte ho muje tum jo namazo ki trah se
ho jaoun agr tum se qaza kaisa lge ga
tum pyar main khood ko kabi mitne pe ho razi
ban jay agr pyar saza kaisa lge ga
khud se b ziyada ho yaqeen tum ko kisi par
wo shakhs hi de jay dagha kaisa lage ga
tum orro ki mehfil ka diya ban k jalo par
tanhai mile tum ko sila kaisa lge ga
ik zara bhool hoi or use kho baithe
hum ne paya tha juse barso ibaadat kr ke
Tumhare waste rakhe hai main do tuhfe
dil abteda k liye jan inteha k lie
hadse b shaoor rakhte hai
doond lete hai gham k maro ko
na gai ab b berukhi teri
hum teri arzu se b gay
adawte thi taghaful tha ranjishe thi mage
bicharne wale main sub kuch tha bewafai na thi
Tark e ulfat jo kiya hai to sambalo khud ko
kayu mere khuwabo main rooz chale ate ho
jo meri ankh ke raste mere dil takh pohncha wasi
wo muhajir to hakuet par utr aya hai
aya tha ik shaks mere gham batne
rukhsat huwa to apne b gham de gya mujhe
main khud se b thi na Ashna
muhe muj se us ne mila diya
No comments:
Post a Comment